Ek chahat...

Tere chehre ka ek aks ban sakun,
Main Tere Labon key lavz bann sakun,
Tere khayalon ka wujood bann sakoon,
Tere khwabon ki main sachai bann saku.
Hai ye chahaton ki meri bass itni khwahish ,
Tere har muskurahat ki main wajah ban sakun.

Ho jab Tujhe dard ki ek aahat,
Main Tere dard ka Ehsaas ban Sakun.
 Teri nigahen karti  hain jab woh khamosh baten,
Main Tere aankhon ki woh zubaa ban sakun.
Hai munawwar meri zindagi in lamhon ki aaghosh me,
Unn lamhon ki muskurahat ki main wajah ban saku...




Comments

Post a Comment

Popular Posts