احترام ( ehtiraam, Respect )



Teri nazren bachakar, 
Chehra chipakar,
apne aansuon ko usne pocha hoga.
Kya tune kabhi socha,
tera Baap tujhe alvida kehte waqt kitna roya hoga.

Ehsaas to usme bhi hai,
Lekin woh baap hai,
Usey haq nahi rone ka.
Muskurate labon k peechey,
Usney apna dard dabaya hoga.
Tera Baap tujhe alvida kehte waqt, kitna roya hoga.

Siskiyan to usney bhi lee hongi,
kahin tanhaa, koney me.
Phir tujhe galey se lagaya hoga,
"apna khayal rakhna bete", ye kehkar samjhaya hoga,
"Main hun tere sath, khud ko tanha na samajhna." 
Lekin khud tanhayee me kitna murjhaya hoga,
Tera Baap tujhe alvida kehte waqt, kitna roya hoga.

"Kyon beta, kal phone nahi kia?"
ye bhi kabhi usney poocha hoga?
"Haan Papa, busy tha",
Mayoos hua hoga,tera ye jawab sunkar.
kya ehsaas hai tujhe,
Tera Baap tujhe alvida kehte waqt, kitna roya hoga.

Mere lavz,
meri sonch, 
meri qalam,
ab ladkhada rahi hai kuch aagey likhne me.
kaanp rahi hai rooh,
aankhey ashqbaar hain.
meri kaun si baat,
kaun si adaa ko usney dil me dabaya hoga.
Mera Baap mujhe alvida kehte waqt, kitna roya hoga.




Comments

Post a Comment

Popular Posts