Qadam mere...!!!






Kuch qadam rahenge saath apne,
Kuch saath chut jayenge.
Unn ruk gaye qadmon pe kuch,
Aansun hum bahayenge.
Phir badh jayenge woh qadam,
Unn qadmon ko chorkar,
Kya yahi bisaat hai,
saalon k unn sath ka??

mudhkar dekhenge kya woh qadam,
jispar aitbaar tha,
har mod par jiska sath tha,
har lamha jaanisaar tha.
Nahin mude woh agar,
To kya woh ittafaq tha,
Kya woh aitraaz tha,
Nahi hua jo kabhi,
kya woh aitbaar tha??

Badh gaya main agar,
Mudkar dekhunga zarur,
Un sare aitbaar ka,
qarzdaar main to hun.

Kya itna aaas na karun,
Mudkar dekhenge woh mujhe,
kya aitbaar na karun,

Ruk Jaaye agar Qadam Mere…!!!

Comments

Post a Comment

Popular Posts