Kuch Bikhre Alfaaz...!!!




Jahan me tere jab qadam the pade,
tere jism ko rooh mila bhi na tha.
Wo hasti hi thi jo ek zaria bani,
dunya me tere aane ki wajah wo bani.
Aankhen teri jab khuli bhi na thi,
Nami uske palko ki tu hi bana.
Tu tha uske ankho ka nor-e-sehar,
Shabo-roz  tujhko wo dekha kare.
Uski Ungli sahare tu chalta chala,
Thokar mila to sahara dia.
aankho ki neenden nyochawar kia,
pareshanio ne jab dastak dia.
Uske aanchal k chao me teri zindagi,
teri muskurahat, uski har khushi.

Dunya ki daud me tu aage badha,
bachpan ki baten tu bhulta chala.
Khayalo se ehsas ye dhoomil hua,
ghaflat zindagi me yun shamil hua.
Dunya k kaamo me tu uljha raha,
paise aur rutbe ko tarjeeh dia.
Uski dhundhli si aankhen tarasti rahi,
tere deedar se wo ghafil rahin.
Tab bhi labo pe dua hi saji,
sadqe me tujhe bulandi mili.
Teri zindagi uska ehsaan hai,
budhape me ab wo pareshan hai.
Ye tera farz hai uski khidmat kare,
dunya me hi jannat tu haasil kare.
Tujhpar hamesha use faqr hoga,
farishto me bhi tera zikra hoga.
Abhi na jaga to pachtaega,
khuda ki rehmat se mehroom payega.
Zindagi bhar rona bhi bekar hoga,
Maa ka wo pyaar phir kahan payega…!!! 


Comments

Popular Posts