Ek Koshish...!!!




Chahat ek afsane ki,
Ek khwaab ki,
Ek aise sach ki jo mere zaat se bilkul alag tha.
Ek aisa ehsaas jo kabhi lavzon me bayaan na ho saka.
Zindagi ki pecheedgi me kahin murjha sa gaya,
Woh khwaab.
Jiska tasawur bhi ab bemani sa lagta hia.
Ghaflat si hai us irade se.
Raat ki neend ko bojhal karte the jo azm,
Dhoond raha hun,
Jaga raha hun, us kaifyat ko,
Jo har neend se pehle rukh karate the, manzil ka.
Shayad maine khud tod dia,
Un paron ko,
Jo mujhe udate the,
Iradon ki buland wadio me.
Tanhaa…!!!

Na jaane kyon,
Ek darr sarmaya hai.
Samundra ki lehron me tairte us bulbule ki manind,
Apne wujood se beneyaz.
Us hararat ko jhelta hua.
Par ek khwahish hai khud se.
Ghalib karne ki, Iradon k us udaan ko.
Jo murjha si gaiee thi, Woh muskurahat,
woh kashish waapas lane ki.
Zindagi se faizyaab hone ki,
Khud se jeetne ki,
Ek lagatar koshish…!!!




Comments

Post a Comment

Popular Posts